logo
divider
قلمHome
قلمNext
قلمBack
قلمIndex

KhwaaboN ko baateN karne do

aankhoN meN jo Khwaab haiN un ko baateN karne do
honToN se voh lafz kaho jo kaajal kehta hai
mausam jo sandesa laaya us ko paRh to lo
sun to lo voh raaz jo pyaasa saahil kehta hai

aati jaati lehroN se kya puuChh rahi hai ret?
baadal ki dehliiz pe taare kyuN kar baiThe haiN?
jharnoN ne is giit ka mukhRa kaise yaad kiya
jis ke har ik bol meN ham tum baateN karte haiN!

rah guzar ka, mausam ka, na baarish ka mohtaaj
vo dariya jo her ik dil ke andar behta hai
khaa jata hai her ik sholaa vaqt kaa aatish daan
bas ik naqsh “muhabbat” hai, jo baaqi rehta hai

aankhon meN jo Khwaaab haiN un ko baateN kerne do
honToN se voh lafz kaho jo kaajal kehta hai!

divider
copyright©amjadislamamjad.net2008
design_sig